

kya ab tak gunjti hai wahan per
Mere bachhpan ki kilkaari
Kya un hawaao may ab bhi
Mere hone ka ehsaas shaamil hai
Kisi buzurg se puch lena tum
Kya wo mujhe aaj bhi jaantey hai
Agar wo kahe nahi
To unki umra ka takaza kar ke
Haath jod ke nikal aana tum
Fir kahi pe bikhre hue
Tinko se puch lena
Ho sakta hai unhone bhi kabhi
Kisi panchi ke gharonde ko
Mazboot banaaya ho
Uss waqt aur aaj mein
Bahut kuch badal gaya
Us guzre zamaaney se puchna
Kya pata wo fir ek baar
Waha tahalne aaya ho
Uss mitti ki parto ke niche
Aaj bhi mera ehsaas shaamil hai
Bus ek ehsaas chahiye
Uss bachhpan ki kilkaari
Ko sunn ne ke liye
Ek bachhe ka dil chahiye
Ek bachhe ko dhundane ke liye.
Wahid Parkar |